Sunday, 26 January 2014

Sajal Ali


By on January 26, 2014

Sajal Ali Biography


source link google.com.pk




Pakistani actress and model Sajal Ali born in Muslim family in Lahore, Punjab on 17th January, 1994, but she is presently living in Karach. She is excellent a model but also a wonderful actress. Sajal ali is Saboor Ali's sister. Sajal started her career with Mehmoodabad ki Malkain 2011-2012, after that she appeared in Ahmed Habib Ki Betiyan in 2011-2011, Mastana Mahi in 2011-2011, Meray Qatil Meray Dildar in 2011-2012, Mohabbat Jaye Bhar Mein in 2012-2013, Kitni Girhain Baqi Hain in 2012, Meri Ladli Eesha in 2012-2012, Quddusi Sahab Ki Bewah in 2012-Present, Sasural Ke Rang Anokhay in 2012-2012, Nanhi in 2013.
Sajal Ali:
Sajal ali Har insan kamyabi k khwab dekhta aur is manzil tak puhanchne k liye jad o jahad karta hai balkeh buhat se log to sari zindagi koshish karte rehte hain lekin kamyabi un se door rehti hai ya phir taweel intezaar aur jad o jahad k baad woh is manzil tak puhanch pate hain.

Sajal ali shuhrat k khwab zaroor dekhti thi magar use ilm nahi tha keh is safar ki ibtada kaise ki jaye woh ittefaqan hi aik soap k liye audition dene chali gayi aur us ka selection ho gia. Kamyabi ki taraf us ka yeh pehla qadam tha is soap k on-air hote hi us ki maqboolyat mein izafah ho gia aur use doosre projects ki offers hone lagein buhat thore arse mein woh television ki aik masroof adakar ban chuki hai.

Sajal Ali Interview:

Acting ka aaghaza kaise hua kia bachpan se hi shoq tha ya ittefaqan is taraf aagayin?

Apne school ki behtareen moqarrara aur naat khua rah chuki hon kayi moqablon mein hissah lia aur kamyabi hasil ki. Mere dil mein aik khyal tha keh kabhi moqa mila to singing karon gi. Acting k bare mein bhi socha lekin aawaz to aazma chuki thi aur logon ne bhi meri aawaz khoob psand kia tha is liye pehle singing ki taraf aana chah rahi thi. Ittefaqan hi maaloom hua keh aik soap mein nayi larkiyon k liye audition ho rahe hain mein ne socha koshish karni chahiye chunan cha audition k liye chali gayi inhon ne mujh se kuch sawalat kiye phir pucha keh ga sakti ho, mein ne kaha han aur yahi mera plus point tha jis ki bunyad par selection ho gia, is tarah bilkul achanak aur ittefaqan is field mein mera safar shuru ho gia.

Pehli bar camera k samne aana kaisa laga?

Thori si confusion to zaroor hui magar apne oper aitmaad tha k acting karlon gi. Sab se barh kar yeh keh mere director buhat ache the inhon ne mujhe buhat kuch sikha ya aur mein inhein apna ustad manti hon. Mehmood Abad ki Malkain k director Nain Maniar hain, inhon ne mujhe itna easy kar dia keh mujhe aisa laga keh jaise keh hamesha se adakari karti aayi hon. Buhat ache andaz mein guide kia, mere carector ko achi tarah brief kia aur expression k bare mein bataya is tarah mere liye buhat aasani ho gayi aur mein ne buhat jaldi apne kirdar ko samajh lia phir raftah raftah mujhe sab kuch buhat aasan lagne laga. Aap yun samajh lein keh Mehmoodabad ki Malkain mere liye acting ka school tha jahan se mein paas ho kar nikli aur phir doosre project mil gaye.

Ab tak kitne project kar chuki ho?

Mehmoodabad ki Malkain, Mere Dildar, Ahmad Habeeb ki Betiyan aur kayi solo plays kar chuki hon.

Serial aur soap mein se tumhein sab se acha response kis ka mila?

Mehmoodabad ki Malkain, se mera tayaruf hua, ar Show Biz k halqon mein pehchan mili magar is soap mein mere elawa aur buhat se senior o junior funkar the aur is ki kamyabi mein un sab ka barabar ka hissah hai lehaza mein apni zati maqboolyat aur pehchan k hawale se Mostana Mahi ko ahmiyat deti hon, is serial ka buhat acha response mila aur sirf Pakistan mein hi nahi balkeh mulk se bahir bhi mera character maqbool hua aur mujhe logon ne sohaye k naam se pehchana, mere pas beroon mulk se telephone aur paighamat aaye Pakistan mein bhi jab bahir niklti to log mujhe suhaye k naam se pukarte the, is liye mein Mastana Mahi, ko hi apni maqbolyat ka credit dongi.

Tumhein singing ka shoq tha lekin ittefaqyah tor par acting mein chali aayin, ab singing k bare mein kia socha hai?

Mein singing zaroor karon gi magar is mein kuch waqt lage ga kiun keh filhal acting mein masroof hon is ki wajah se singing k liye waqt nahi nikal sakti jabkeh yeh aik aisi field hai jis ko munasib waqt dena parta hai. Is liye pehle thori si training lon gi phir baqaida planning k tehat singing shuru karon gi. Yeh mera pehla shoq hai aur ise nahi chor sakti.

Filmon mein kaam karne ki khuahish hai?

Buhat ziadah magar abhi is ka waqt nahi aaya kiun keh soap kar rahi hon aur schedule itna sakht hai keh kisi aur kaam k liye waqt nikalna mumkin nahi isi masroofyat ki wajah se aik achi offer khor chuki hon. Kuch arsah pehle aik Pakistani movies mein lead character ki offer huyi thi magar apni masroofyat ki wajah se dates na nikal payi aur mujhe is offer se mehroom hona para jis ka hamesha afsoos rahe ga lekin mustaqbil mein agar koi achi offer mili to film mein zaroor kar karon gi.

Tumhein kis tarah ki filmein psand hain?

Rani Mukharjee ki film Black, buhat achi lagi aur mein isi tarah ki classical movie psand karti hon. Rani mukharjee ne is film mein bari zabardast performs di hai kaash mujhe bhi koi aisa kirdar mil jaye yeh meri dili aarzo hai.

Aam tor par kis tarah k kirdar psand karti ho?

Mujhe serious aur tragedy carector psand hain.

Comedy karna chahon gi?

Ji han light comedy karna chahti hon, koi shokh sa corrector jis mein thora sa halla gulla ho.

Jo kamyabiyan mili hain un k bare mein pehle kabhi socha tha?

Mein ne kabhi socha bhi na tha keh itni kamyabi aur maqboolyat mile gi. Is k liye Allah ka jitna shukar ada karon kam hai us k baad apni maan ki be had mashkoor hon jin ki muhabbat aur duaon k sabab mujhe yeh kamyabi mili . Yeh inhi ki tarbiyat hai jis ne mujhe zindagi k har mar hale mein aitmaad se aage barhne ka hosla dia.

In tamam kamyabiyon ka credit kise do gi qismat, director ya apni salahiyat ko?

Sab se pehle to apni maan ko is ka credit don gi jinhon ne mujhe zindagi k chalan sikhaye aur mere liye har pal duayein ki, is ke baad mere directors jinhon ne mujhe buhat kuch sikha ya lehaza meri kamyabiyon mein un ka bhi buhat bara hissah hai aur sab se aakhri mein apni salahiyaton ko kiun keh agar aap mein telent na ho to kamyabi ka tasawwar bhi nahi kia ja sakta .
Acting k elawa farigh waqt mein kia karti ho?

Mein ghar aane key baad sara waqt maan key sath guzarti hon, kahin tafreeh key liye bhi jati hon to wahi mere sath hoti hain. Show Biz ki koi party attend nahi karti show se sidhi wapis ghar aati hon aur baqyah waqt maan key sath guzarti hon.

Mustaqbil k liye kia planning hai?

Fil hal acting mein masroof hon is k elawa kuch nahi socha, chahti hon keh aik waqt mein aik hi kaam karon takeh us par meri puri towajjah markooz rahe.


Tags:sajal ali, sajal ali biodata, sajal ali bio, sajal ali biography, sajal ali pic, sajal ali model, pakistani model sajal ali pics, sajal ali drama list, sajal ali in urdu.






Sajal Ali

Sajal Ali

Sajal Ali

Sajal Ali

Sajal Ali

 

Sajal Ali

Sajal Ali

Sajal Ali

Sajal Ali

Sajal Ali

 

About Syed Faizan Ali

Faizan is a 17 year old young guy who is blessed with the art of Blogging,He love to Blog day in and day out,He is a Website Designer and a Certified Graphics Designer.

0 comments:

Post a Comment